Aik Bachi Ka Hai Noha, Meray Baba
Aik bachi ka hai noha, meray baba.
Howi yeh Shaam aur na aayai baba, meray baba.
1) Piyaas paani, neendh bhooli, tootati hai saans meri
Guth raha hai dam hamara, meray baba.
2) Qaid ho ker, jab sai ayee, reesma main hai kalahi
Ha duri da jism sara, meray baba.
3) Khaak chaadar, khaak bister, qabar jaisa hai yeh manzar
Shab andheri, din andhera, meray baba.
4) Bhai qaidi, maa hai qaidi, qaid kunmba qaid meri
Lo khabar rakho Khudara, meray baba.
5) Dil hai zakhmi, kaan zakhmi, rooh zakhmi, kaan zakhmi
Mout hi dai ab sahara, meray baba.
6) Tum kahan ho, main kahan hun, dukh maaray bai amaan hun
Jis nai chaha us nai mara, meray baba.
7) Na cha cha hain, na baradar, haath rakhay kon sar per
Dhooba qismat ka kisara, meray baba.
8) Rona chahun, ro na paoon, so na chahun, so na paoon
Yeh muqaddar hai hamara, meray baba.
9) Ab to aao, ab to aao, qabar meri khud banao
Hoga ehsaan yeh tumhara, meray baba.
10) Aai Rehan, noha gufter, tu Sakina ka hai noker
Likh Sakina ka woh noha, meray baba.

